Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab

By: 

Hoon Mein Nadim Gunaahon Par Ya Rab Lyrics

Hoon mein nadim gunaahon per Ya Rab (SWT),
Mujh pe rehmat ki ho nazar Ya Rab (SWT).

Jitni ghariyan hon umer ki baaqi,
Aafiat say woh hon basar Ya Rab (SWT).

Khof aata hai kanp uthta hon,
Yaad ata hai jab safar Ya Rab (SWT).

Aah badkaarian barheen had say,
Ban chuka qalb bhi hajar Ya-Rub (SWT).

Tu gunahagar per raham/karam farma,
Behr-e-Siddiq (Radi Allah Anhu) ore Umar (Radi Allah Anhu) Ya Rub (SWT).


Bakhsh day mujh ko bay sabab mola,
Or jannat (heaven) mein dei day ghar Ya Rab (SWT).

Khatima Mustafa (SAW) kay qadmon per,
Mera imaan per tu kar Ya Rab (SWT).

Rooh niklay gi jhoom kar meri,
Hogi Deed e Huzoor(SAW) gar Ya Rab (SWT).

Day Jawar e Nabi(SAW) mein ja mujh ko,
Na phira mujh ko dar badar Ya Rab (SWT).

Hajj ka har saal day sharaf Mola (SWT),
Saath murshid kay ho safar Ya Rab (SWT).

Murshidi saath lay chalein Taiba,
Aarzoo aaye meri bar Ya Rab (SWT).

Saaminay subz sabz gumbad ho,
Jab uthaaoon jidhar nazar Ya Rab (SWT).

Ishq e Sarkar(SAW) say ho dil roshan,
Na mile mujh ko maal o zar Ya Rab (SWT).
Bas Ishq e Sarkar(SAW) say ho dil roshan.

Ishq meethay madinay ka Mola(SWT),
Mujhe hasil hoo is qadar ho Ya Rab (SWT),
Kay jab kahin bhi ho zikr Taiba ka,
Aankh ho jaaye meri tar Ya Rab (SWT).

Ho kay razi Ubaid se Malik (SWT),
Har khata kar tu dar guzar Ya Rab (SWT).

Day Baqi mein UbaidUrdu Na’at Information:
Sana Khawan: Owais Raza Qadri
Written By: Ubaid-e-Raza


More Islamic Lyrics

  1. Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo
  2. Naat by Hazrat Uthman ibn Affan “Ghani” (R.A.)
  3. Shine
  4. Rab Janay Tay Hussain Janay
  5. Kalma Sharif
  6. Sultan e Karbala Ko Hamara Salam Ho
  7. One Day
  8. Celebrations
  9. Bano Ka Yeh Arman Tha
  10. Dil Say Hazar Bar Madina Tujhay Salam
  11. Tazkarti
  12. 99 Names of Allah
  13. Without You
  14. Tamanna
  15. Let Me Breathe
  16. Celebrate
  17. Ze Eshqat
  18. Muhammad (Pbuh)
  19. So Real
  20. The Rope
  21. Little Girl
  22. Qabu Mein Nahin Rehtay
  23. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai
  24. Ahl Al Bayt
  25. Ashqi Mn – عه‌شقی من

4 thoughts on “Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab”

  1. SubhanALLAH! kya bat hai owais bhai yar meri dua hai ALLAH azzawajal apko dono jahan ki bhalayian naseeb kare or apke sadqe hamara bhi bera par ho or humen bhi ishq e nabi naseeb ho.Ameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeennnnnn……

    attari

    Reply

Leave a Comment