Huzoor Jante Hain

By: 

Huzoor Jante Hain Lyrics


Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya,
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin,
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain.

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain.

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say,
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain.

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe,
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain.

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye,
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed,
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain.

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa,
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain.

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa,
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain.

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye,
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain.

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko,
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya,
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad,
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.

Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.


More Islamic Lyrics

  1. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab
  2. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin
  3. Aao Parhein Qur’an
  4. Pukara Dilsay Kisi Ney
  5. Sepanjang Hidup
  6. Guide Me All the Way
  7. Forgotten Promises
  8. Believe (Acoustic Version)
  9. My Little Girl
  10. Dua e Ali (AS)
  11. Dryer Land
  12. Aap Kiya Jane Fatima Kiya Hai
  13. Open Your Eyes
  14. Habibi Ya Rasool Allah
  15. Pizza in His Pocket
  16. Main Taliyan Nabi Diyan Choomda
  17. Rasool’Allah
  18. Mere Ghous Piya Jilani
  19. Eid Mubarak
  20. The Lord of the Worlds
  21. Ashqi Mn – عه‌شقی من
  22. Aaya Kamli Wala
  23. Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay
  24. Muhammad Nabina
  25. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon

74 thoughts on “Huzoor Jante Hain”

  1. may allah bless and besto on owais sahab and all sunni poets
    ……………………..,,,,,,,,,,,,,mashaallah,,,,,,,,,,,,,,,,,,,……………………..

    Reply
  2. Why is it that you sufis/barelvis cannot praise Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam) with truthful facts and have to resort to ‘ghuloove’ (exceeding the truth)? Saying that he knows all that happened and all (or even some) of what to happen in the future has no basis in the Quran and authentic Ahadith. He (SAW) was as Allah, he himself sallallahu alaihi wa sallam, and his companions described him. Please refrain from shirk and other lies while claiming to love him .sallallahu alaihi wa sallam. We have to love him sallallahu alaihi wa sallam more than any other person. However our love for Allah should exceed love for even him sallallahu alaihi wa sallam. Laa ilaaha illallah Muhammad arrasool Allah, sallallahu alaihi wa sallam. Worship Allah only and no one else, and the way of the Worship is according to the way Rasool Allah sallallahu alaihi wa sallam taught us, documented in the sahih Ahadith. May Allah Give us Guidance and let us not fall stray, aameen.

    Reply
    • Asalamalaikum. I know this reply is over a year late but in case anyone else comes across this, I would like to point it out. Rasool’Allah (Salalahu Alaihi Wa Salam) was granted knowledge of unseen through Allah (Subhanahu Wa T’ala), which is authentically depicted in many Ahadith and the Qur’an, contrary to your statement.

      Qur’anic Evidence:
      “The Knower of Unseen reveals not His secret to anyone. Except to His chosen Messengers”.
      Surah-Al-Jinn, verse 26.

      “Nor will He disclose to you the secrets of the Unseen. But He chooses of His Apostles (For the purpose)”
      Surah-Ale-Imran, verse 179.

      “These are the tidings of Unseen that We reveal to you in secret”.
      Surah-Ale-Imran, verse 44.

      There are many other verses and Ahadith that clearly show that this Rasool’Allah (Salalahu Alaihi Wa Salam) was given the knowledge of unseen. I have provide clear, Qur’anic texts to avoid any controversy on whether a Hadith is Sahih or not. Thus, your statement that this praise of Rasool’Allah (Salalahu Alaihi Wa Salam) is exaggerated is completely untrue. I pray we all do always remain guided, worshiping none other than Allah (Subhanahu Wa T’ala) and loving His Beloved (Salalahu Alaihi Wa Salam). Asalamalaikum

      Reply
  3. Munafiqon ka Aqeeda wo Gaib daan nahi …
    Sahabion ka Aqeeda Huzoor Jantay hain …

    Subhan Allah iss se agay kuch kehnay ki gunjaish hi nahi..

    Reply
  4. Boht khubsurat naat hai sun kr dil.o.dimag per saroor tari ho jata hai mashaa allah awais bhai allah ap ko aur ahmad raza bhai ko lambi zindagi ata furmaiye.(ameeen)

    Reply
  5. allah o akbar sb se phle allah ap ko har alla se alla khushi aameen.masallah sun kar dil madina hugya.namz padta bahut shukun milte hai.this is best islamic naat e paak.
    Bahut pyri naat.

    Reply
  6. Ye naat sun ke mujhe apne nabi k bare me bohot jankari mili hai or jis tarah owais sir ek ek lafz ka tarjuma dekar ye naat sunai hai mujhe kya or bhi logo ko bohot acche se hozoor k bare me jankari mili hogi
    Inshallah owais sir ko allah tala janat aata farmai aamin……

    Reply
  7. subhan allah…
    iss naat ko sunkar poorey rooh me allah talah ka zikra ho jaata hai…esa lagta hai ki hum usi ki dargaah me bethkar usi ke lafjo ko iss naat ke jariye ata farmaa rahe he…allah aapko aagey esi naat hum logo ke liye or ada karwaye…..ya allah…ameen(mahesh kumar)

    Reply
  8. Poray jahan main Dhondhaa sukooon mastanooooo ki tarha par na milaaaaaaaaaaa…………. ;(((((((((((((( sunni jo ye naat rooh main sukooooooon hi bas gaya………….jo na samjhay en lafzo ko unko tuo ye bhi ata nahi mili k samjh jain k huzoor jantay hain……………………SUBHAN ALLAH

    Reply
  9. Nate nabi bahut sare hai or log padte hai magar jab use padhne wala
    Tarike se padhta hai toi koi v nath acchi lagti hai.
    Owais bhai ap ka jawab nahi.

    Reply
  10. kis dil main hy wafa, kis ankh main haya hy
    ashiq ki hr ada ko HAZOOR Janty hain
    (sal-lalla-ho aly-hy wa-alyhy wa sa-lam)
    hr drd ki jo dwa hy Hazoor Janty hain

    Reply
  11. ہر ایک حرف تمنا حضور (صلی اللہ علیہ وسلم) جانتے ہیں
    تمام حال دلوں کے حضور (صلی اللہ علیہ وسلم) جانتے ہیں

    Reply

Leave a Comment