Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar Lyrics

Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar x3
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar x2
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar x2
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par x2
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen x2
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar - Lyrics
Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar - Urdu Lyrics

Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.x2
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar x2
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har haar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz x2
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaarx2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir x2
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal x2
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar x2

Ishq ke rang me rang jao mere yaar

Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa guharbaar .Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani o Arabi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2

Urdu Naats Information:

Naat Sharif Reciter: Owais Raza Qadri
Naat Shareef written by: Hazrat Syed Adeeb Rai Puri (Rahmtullahu Alai)


More Islamic Lyrics

  1. Ahad – The Story of Bilal Lyrics - Native Deen
  2. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  3. 99 Names of Allah Lyrics - Beautiful Names
  4. Bekhud Kiye Dete Hain Lyrics - Aamir Liaquat
  5. Ramadan Lyrics - Maher Zain
  6. Sarkar Kay Dar Per Jaaoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. Karam Karam Mola Lyrics - Milad Raza Qadri
  9. An Nabi Sallu Alai [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  10. Pak Sar Zameen Shad Bad Lyrics - Pakistani National Anthem
  11. Rab Janay Tay Hussain Janay Lyrics - Dhamani Sisters
  12. Who Is The Love One Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  13. Eid Mubarak Lyrics - Harris J.
  14. Show Me Lyrics - Tom Robertson
  15. Qasidah Burdah Lyrics - Labbayk
  16. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  17. Change our Hearts Lyrics - Abdullah Rolle
  18. Ya Ali Ya Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar
  19. Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics - Milad Raza Qadri
  20. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka Lyrics - Naat Lyrics
  21. Gaza Lyrics - Native Deen
  22. Haider Haider Lyrics - Dhamani Sisters
  23. To Guide You Home Lyrics - Sami Yusuf
  24. Together We Pray Lyrics - Labbayk
  25. Eid Song Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

77 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
77
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x