Mere Aaqa Nigaah-e-Karam Ho

By: 

Mere Aqa Nigahe Karam Lyrics

Bheek ‘ata ae Nabi (SAW) Muhatasham ho,
Meray Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Deed ka hun talab gaar Aqa (SAW),
hun agar che gunah gaar Aaka (SAW),
Ik jhalak apni Sarkar Aaqa (SAW),
Aab dikha do na ik baar Aka (SAW),
Iss gunah gaar par bhi karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Choot jaye gunahon ki aadat,
Rab (SWT) ki dil se karoon mein ibadat,
Aisi kar de tu nazr e inayat,
Bas tere gham main maah e risalat,
Dil tarapta rahe aankh nam ho,
Meray Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Hai tamanna meri mere dilbar,
Dekh lun kash har saal aa kar,
Teri masjid kay mehraab o minbar,
Aur roze ka pur kaif manzar,
Phir bayan haal ba chashm e nam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Yaad aata hai mujh ko woh manzar,
Jab chala tha Madine se dilbar,
Muztarib qalb tha aankh thi tar,
Us ghari ‘arz ye thi zabaan par,
Baar baar aaoon aisa karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Arz karta Obaid e Raza hai,
Jo tere dar ka adna gada hai,
Mushkilon mein shaha ye ghira hai,
Tujh se imdad yeh chahta hai,
Door iska har ik runj o ghum ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Hai yaqeen ‘arz meri suno ge,
Laaj Lajpaal meri rakho ge,
Rahmatein khaas apni karo ge,
Aaj daman mera bhi bharo ge,
Ya Nabi (SAW) taajdaar e haram ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Make a Prayer
  2. Isn’t It So Funny
  3. Theraawo Sawaari
  4. Marhaba Mustafa
  5. Ab To Bas
  6. Adventure of Life
  7. Wherever You Are Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC)
  8. Celebrations
  9. Your Mother Lyrics Rashid Bhikha
  10. Ahmad Ya Habibi
  11. Who Is The Love One
  12. One God
  13. Main Taliyan Nabi Diyan Choomda
  14. Mazagh Nigahon Nein
  15. You Came To Me (Farsi)
  16. My People
  17. Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo
  18. A Piece of Land
  19. Ali Da Malang Mein Tey Ali Da
  20. 99 Names of Allah
  21. Palestine
  22. Dua Ganjul Arsh
  23. One Day
  24. Dam Hama Dam Ali Ali
  25. Aie Mere Baba Jaan

11 thoughts on “Mere Aaqa Nigaah-e-Karam Ho”

  1. Khwaja Mohamed rahmatabadi. 11.04.2017.
    Bhaiyo is naatepaak Ko jab bhi mai suntahoo bahut ropadtahoo. Mera aaqa ki sachchi mohobbat aur eemaan Ko jaganewali naat hai.

    Reply

Leave a Comment