Pohnchoon Dar e Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai Lyrics
Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai,
Agay meri taqdeer tamana to yehi hai.
Ek khas mehak aane lagi mouj e hawwaa main,
Asar batatay hain Madina to yehi hai.
Hain Gumbad e Khizra kay siwa or bhi jalway
Ankhoon ke liye khas nazara to yehi hai.
Yeh unki raza hai mujhay bhayjein mujhay rokein,
Wapis main nahi aaoon ga socha to yehi hai.
Yaad unki rahe dil mein, jamal unka nazar main,
Naam unka zaban per rahe acha to yehi hai.
Har saans say aati ho sada Salle Ala ki,
Hum lakh jiyein, asal main jina to yehi hai.
Izhar e gham e hijr ki kia shakal nikaloon,
Ronay ki bhi takat nahin rona to yehi hai.
Taiba mein ho sab kuch mere daman main hain aasein,
Duniya ka karoon kiya meri duniya to yehi hai.
Pohnchoon dar e sarkar pay chaha to yehi hai,
Agay meri taqdeer tamanaa to yehi hai.
Buhat hi pyari tammana hai
Subhan Allah Bahut Khoob Naat Mujhe Bahut Pasand Aai …!!!
Better stronger
MASHA ALLAH BAHUT PYARI NAAT HAI.SUBHAN ALLAH
Subhan Allah Subhan Allah Bhaut Khoob ..!!!
MashaALLAH. Meri favorite Naat hai ye
Subhan ALLLAH Achi naat e pak h
Bht pyara Kalam hai Allah Pak har Musalaman ki ye tamana puri kre
masha allah bht accha kalam hai
But kis ka hai ye kalam?
kisi ko maloom hai to plz comment karo ….
Huzoor mufti aazam hind mustafa raza khan noori
Subhan allah
mashaallah… i love owais raza qadri sahab allah apko hmesha salamat rakhe…ameeen