Rabana Ya Rabana

By: 

Rabbana Ya Rabbana Lyrics

Link for Translation of these lyrics:
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Lyrics with English Translation

Chorus:
Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana,
Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana.

Chorus

Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa ka Saath ho,
Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa ka Saath ho.

Chorus

Ya Elahi Bhool Jaaon Naz’aa ki Takleef Ko,
Shaadi yay-Deedar-e- Husn-e-Mustafa Ka Saath ho.

Chorus

Ya Elahi Gor-e-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat,
Unkay pyaaray Mon ki Subh-e-Jaan fiza ka Saath Ho.

Chorus

Ya Elahi Naama-e-Amaal Jab Khulne Lage,
Aib Posh-e-Khal Saattar-e-Khata ka Saath ho.

Chorus

Ya Elahi Garmiye Mehshar say Jab Bharke Badan,
Daman-e-Mehboob ki Thandi Hawa ka Saath Ho.

Chorus

Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas say,
Sahib-e-Kothar Jood-o-Sakha ka Saath Ho.

Chorus

Ya Elahi Jab Hisab-e-Khanda-e-Be Jaa Rulaye,
Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaja ka Saath ho.

Chorus

Ya Elahi Jab par-e-Mehshar Main Shor-e-Daro Geer,
Aman Dene Wale Pyaare Paishwa ka Saath ho.

Chorus

Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Hasr,
Sayyed-e-Be Saaya ke Zille Liwa ka Saath Ho.

Chorus

Ya Elahi Jab Chal-e-Tareek Rah-e-Pul Sarat,
Aftab-e-Hashmi Noor Ul Huda ka Saath Ho.

Chorus

Ya Elahi Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare,
Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada ka Saath ho.

Chorus

Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain,
Qudsiyon ke Lab se Aaami Raabana ka Saath ho.

Chorus

Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa’e,
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho.

Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Information about this Hamd:

Written By: A’ala Hazrat(Alahazrat) Molana Imam Ahmad Raza Khan Barailvi (rahmatullah alayhi)
Recited By: Alhaaj Muhammad Owais Raza Qadri
Directed By: QTV – Khalil Warsi
Link for Translation of these lyrics:
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Lyrics with English Translation


More Islamic Lyrics

  1. Rabbana
  2. You
  3. Radhitu Billahi Rabba (Arabic Version)
  4. Open Your Eyes
  5. Countless Voices
  6. Happiness
  7. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  8. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh
  9. The Most Beautiful Names
  10. Ya Muhawwin
  11. Mabrook (English Malay Version)
  12. Kaliyan Zulfan Wala
  13. Morning Musk
  14. ‘Asheqan
  15. Aicha
  16. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar
  17. Qasim Di Mehndi Agae
  18. Iltija Hai Iltija
  19. Palestine
  20. Ya Rab Bimarey Kerbobala
  21. Dragged from Karbala
  22. Fire
  23. Long Ago – 610
  24. When I Grow Up
  25. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai

36 thoughts on “Rabana Ya Rabana”

  1. hi your this naat is very nice and is one my favourite.
    you have a beautiful voice and it sounds really nice. it bes really nice to see you on tv and in different cities in uk but can you come to my city which is stoke-on-trent.
    thank you
    reply back

    Reply
  2. hey this ain’t naat…..its hamd…..jazaq allah…..allah bless owais qadri and all of us to make us understand the meaning and difference between naat and hamd

    Reply
  3. Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim, Sallalahu ala habibihi Muhammadin wa’alihi wa’as-haabihi wa salim. Asalaam-Alaykum Wa-Rehmatullahi Wa-barakaathu-hu… u can call this a Naat Sharif or Hamd Sharif or a dua becuase your askin frm ALLAH howver recited very well by Owais Raza qadri.

    Reply
  4. it is not a hamd it is a naat . may Allah Azzawajal give us the ability to understand the difference between a naat hamd and a dua. it is obvious to someone who knows the meaning to what has been said that it is a dua

    Reply
  5. salualhabib (darood) mashallah that is a great naat hope evryone listens to it and does not stop keep watching madni chanel sky 838 plz pass this on thankyou islamic brothers and sisters

    Reply
  6. asalaam-e-alaykum brothers and sisters mashallah what a beautyful naat hope everone listens to this naat and may Allah Azaawajal bless every muslim brothers and sisters who listen to naata.

    Reply

Leave a Comment