Tajdar e Haram

By: 

Tajdar e Haram Lyrics


Kismat mein meri chain say jeena likh day
Dube na kabhi mera safeena likh day
Jannat to thikana hai maghae duniya mein
Aye Katib e Taqdeer, madina likh day

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam

Hamiy e baikasan, kiya kahe ga jahan
App kay dar say khali agar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar
Aie quraishi la kabi hashmi o muttalabi…
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Kya tumse kahoon aie Rab kay kunwar
Tum janat ho man ki battiyaan
Dar furqat toh aie ummi laqab
Kate na katath hai ab ratiyaan
Turi preet mein sudh bhud sab bisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaan
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Koi apna nahi gham kay mare hain hum
Aap kay dar pay faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, nigah e karam
Ho Nigah e karam, warna chokhat pe hum
Aap ka naam lay lay kay marjayein gay

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Maikasho aao aao madine chalein
Chashm e sakiye kosar say pinay chalein
Yaad rakho agar, uth gayi ik nazar
Jitnay khali hain sab jaam bhar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Khof e toofan hai, bijliyoon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Ap hi gar na lein gay, hamari khabar
Hum museebat kay mare kidhar jayein gay

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Tajdar e haram…

———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
———-//———-//———- OTHER VERSES ———//———-
———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-

Mai saahil hoon meri auqaat kya hai
Tum aaqa ho, tumhari baath kya hai

Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kehna saba huzoor se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Phir ujdiyon ko laal de, jaan paththaron mein daal de
Haavi ho mustaqbil pe hum, maazi sa humko haal de
Daawa hai teri chaah ka, is ummat-e-gumraah ka
Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, roz-e-jazaa
Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Madine chalen, aao Madine chalen
Isi mahine chalen, chalo madine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram


More Islamic Lyrics

  1. Ya Rasoolallah Pukaro Ya Rasoolallah
  2. Insya Allah (Malay)
  3. Taweel Al Shawq
  4. Mountains of Makkah
  5. Imagine
  6. Peace Remain
  7. Jalwa e Jaana
  8. Heaven
  9. Most Merciful
  10. Medina
  11. Bismillah
  12. Dil Main Ishq e Nabi
  13. Give Thanks To Allah
  14. Love Who You Are
  15. Without You
  16. Main Lajpalan De Lar Lagiyan
  17. Supplication
  18. Subha Taiba Mein Hui
  19. Hushed
  20. Guide Me All the Way
  21. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
  22. Celebrate
  23. Ramzan Ke Roze Aye
  24. Mabrook
  25. Salam Alaikum

43 thoughts on “Tajdar e Haram”

  1. subhannallah im learning this naat beautifull
    subhannallha!
    allah give this man many happines and barqaat
    !!!!!!!!!!!!!
    his son farhan ali qadri reads beautifully as well
    mashallah!! :)

    Reply
  2. very heart touching naat e sharif. after i listen this naat i learned all the lines of naat without seeing. one day my maulana was told me on phone that unke aane tak me koi naat ki practise karo aur unke aane k baat unhe sunao actually vo village gaye hue the now i was decided to read this naat in front of maulana now iam waiting for him kab maulana aayenge aur kab me unko yeh naat e sharif sunaongi . aap sab log dua kijiye k me is tarah dilse padho ki sabke aankh me aanso aajaye. ameen

    Reply
  3. The lyrics are not correct, mistakes in many stanzas ,correct them, better listen them carefully and contact the person who know urdu very what and how sabri brothers pronounce each and every word.other wise you will misguide people in translation

    Reply
  4. Number 1: Janat bi gawara hy magr mere liye Number 2: Janat to thikana hy magr Dunia main. In mein se kon sa wala zada behter hy, plz teach me my Obedient

    Reply
    • aslamu alaykum
      har ummat-e-mohhmadiya ka tikhna zannat hey kitne bhi gunah kyuna ho unki saja milker aakhri tikhana ummat ka jannathi hey to naat sharif me vohi use karo..

      Reply
    • janab 2nd line owais raza sahab ne apne yakden ke kamil k sath ye jumla lagaya ki jannat to tikhana hai ALHAMDULILAH hamara thikana jannat hi hai,gawara jumle mai to na ummedi bhi lagti hai lekin thikana jumle mai yakeen hai ki jannat thikana hai jazak ALLAH

      Reply
    • Dear Is Shair Mein Shaair Keh Raha Hai k Mera Thikana Tou Jannat Hi Hai Is Mein Koi Shak Nahi,
      Lekin Aap Log “MAGAR” Lafz Par Gor Karein k (“Magar Yani Lekin”) Dunya Mein Jab Tak Hun Mera Thikana “MADINA” Ho Jayee….
      Is ko Is Tarha Parhein
      Jannat Bhi Thikana Hai
      MAGAR ( Is Magar Par Zor Daal Kar Parhein Gay Tou Baat Samajh Aa Jaye Gee)
      Dunya Mein Madina Likh Day.
      Aik Aur Misaal Ye Hai k Jaisay Main Kahun k,
      (Main Bura Hun MAGAR Naik Banna Chahta Hun) Is Fikray Mein Apnay Buray Honay ka Iqrar Bhi Kia Aur Naik Bannay Ki Khwahish Bhi Zahir Kar Dee (Jumla Aik Hai Baatein Doo Hain).
      I Hope Aap Sab Bhaiyoon Ko Baat Samajh Mein Aa Gaee Hoo Gee>
      Dua Hai Allah Paak Humein Apnay Pyaray Nabi Hazrat Muhammad Sallallaho Alehe Wasallam Ka Sadka Hidayat Yaafta Logoo Mein Shamil Kar Day..Ameen

      Reply
  5. Bhai yaha pe ek correction kijiye..aur ye correction hona bahot zaruri hai…
    “Kya tumse kahoon aie Rab kay kunwar”
    Is line me “aie Rab kay kunwar” nahi hai..
    Balke “aie (Arab) kay kunwar” hai….
    Yaha pe Rab nahi Arab aaega …
    Correct kijiye warna bahot se log galat padhege
    Jazakallah..

    Reply
  6. Bulbule-E-madina presented by Mohammad madni vhora from Himmatnagar Naatkhwa wotshop No.09909786234 all naat program send me new naat sher my chanal ☝☝ tital

    Reply

Leave a Comment