Tajdar e Haram Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Tajdar e Haram Lyrics


Kismat mein meri chain say jeena likh day
Dube na kabhi mera safeena likh day
Jannat to thikana hai maghae duniya mein
Aye Katib e Taqdeer, madina likh day

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam

Hamiy e baikasan, kiya kahe ga jahan
App kay dar say khali agar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar
Aie quraishi la kabi hashmi o muttalabi…
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Kya tumse kahoon aie Rab kay kunwar
Tum janat ho man ki battiyaan
Dar furqat toh aie ummi laqab
Kate na katath hai ab ratiyaan
Turi preet mein sudh bhud sab bisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaan
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.

Koi apna nahi gham kay mare hain hum
Aap kay dar pay faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, nigah e karam
Ho Nigah e karam, warna chokhat pe hum
Aap ka naam lay lay kay marjayein gay

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Maikasho aao aao madine chalein
Chashm e sakiye kosar say pinay chalein
Yaad rakho agar, uth gayi ik nazar
Jitnay khali hain sab jaam bhar jayein gay.

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!

Khof e toofan hai, bijliyoon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Ap hi gar na lein gay, hamari khabar
Hum museebat kay mare kidhar jayein gay

Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam

Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Tajdar e haram…

———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
———-//———-//———- OTHER VERSES ———//———-
———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-

Mai saahil hoon meri auqaat kya hai
Tum aaqa ho, tumhari baath kya hai

Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Kehna saba huzoor se, kehta hai ek ghulam
Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Phir ujdiyon ko laal de, jaan paththaron mein daal de
Haavi ho mustaqbil pe hum, maazi sa humko haal de
Daawa hai teri chaah ka, is ummat-e-gumraah ka
Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Ya shafaye, roz-e-jazaa
Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye munise beemar-e-gham
Aye kaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Ibnil tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballib salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Madine chalen, aao Madine chalen
Isi mahine chalen, chalo madine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saakhi-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam

Aapke darr se na koi khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-Haram


More Islamic Lyrics

  1. Let You Know Lyrics - Labbayk
  2. El-Midan Lyrics - Hamza Namira
  3. It’s Jumuah “Friday” Lyrics - Raef
  4. Hold My Hand Lyrics - Maher Zain
  5. Sartaba Qadam Hain Tanay Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  6. Ooj Pana Mere Huzoor Ka Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  8. Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bula Liye Hain Lyrics - Naat Lyrics
  9. To Guide You Home Lyrics (INSTRUMENTAL) Lyrics - Sami Yusuf
  10. Prism Lyrics - Sami Yusuf
  11. Ya Mustafa Lyrics - Sami Yusuf
  12. Give The Young A Chance Lyrics - Sami Yusuf
  13. Chalo Namaz Parhein Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  14. Dil Jis Se Zinda Hain Lyrics - Ahmad Hussain
  15. Meditation Lyrics - Sami Yusuf
  16. I Believe feat. Maher Zain Lyrics - Irfan Makki
  17. Jalwa e Jaana Lyrics - Junaid Jamshed
  18. Ya Syedi Ya Mustafa Lyrics - Syeda Amber Saleem
  19. Take My Hand Lyrics - Nader Khan
  20. Ya Rabbi Ya Rahman Lyrics - Ahmad Hussain
  21. An Nabi Sallu Alai [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  23. Your Mother Lyrics Rashid Bhikha Lyrics - Yusuf Islam
  24. Endless Bounty Lyrics - Noor
  25. Balaghal Ula Bekamaalaihi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x