Al Wida Mahe Ramzan Lyrics
Aie reniyali shab qadr, aie mah e ramzan alwada
Biryahein furqat say jigar, aie mahe ramzan al wada.
Aankhoon say ab aanso bahein yeh dard hum kisko kahein
Tujh karni rotay rahein, aie mah e ramzan al wada.
Tu kuuch ka mara tabal, mujh sar para gham ka ajar
Yeh dukh kahoon kiskay agal, aie mah e ramadan al wada.
Kiya tha mubarak mah tu, saray baras ka shah tu
Rab ki dikhayi rah tu, aye mah e ramzaan alwada.
Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.
Tu aaye ga under jahan, hum howein gay shayad kahan
Bhetar qabr ya jagh mein aa, aye mah e ramdaan al vada.
Dil ka meray sultan tu, mujh per kiya ehsaan tu
Din tees ka mehman tu, aye mah e ramazan alwada.
Muj dil mein tera dard hai, tujh karni rukh zard hai
Tan lagha ro dam sard hai, aye mah e ramzan alwada.
Roshan hoyi thi masjida, kush tar bhichaye masnada
Qur’an parhtay hafiza, aye mah e ramzan alwada.
Ummat bhiter bheja tujhay, dozakh agan tujhsay bujhay
Taqwa hai tujh upper mujhay, aye mah e ramzaan alvida.
Rozay say mukh per noor hay, tan kahini say dur hai
Dil sabr say mamoor hai, aye mah e ramzaan al vida.
Tha deen ka tujh mein maza, tu ho chala hum say juda
Sab momina tujh per fida, aye mah e ramzaan alvada.
Jab mah giyara jayein gay, ramzan mubarak aayein gay
Jinkay naseeb woh payein gay, aye mah e ramzaan alwada.
Suna huwa sansar sabh, baki rahein din char ab
Baihosh ho kehtay hain sab, aye mah e ramzaan alwada.
Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.
Tan beeich hairani ahay, aankhoon say nit pani bahay
Ro ro Yatimala kahay, aie mah e ramzaan alvada.
Naat Information
Recited By: Qari Mohammed Rizwan
Album: Not Available
Allah inki awaj ko hamesha sahi salamat rakhe hum yahi dua karenge insaallah
salam.Allah inki awaz me Hazrate Hassan ka dard aur Hazrate Bilal ka ishq ata farmaye.amin.radiallahu anhuma.aur inki awaz se Deen ki tablig,logon ke dil munawwar hote rahe aur Ishqe Nabi ki shama jalti rahe.amin.Allah inki umr,ilm,amal,rizq,sehat,tandrusti,har jaiz kaam me din gyarhwi,raat barhwi taraqqi ata farmaaye.amin
Very nice naat on remembering Ramadan.
Love this naat…amazing words and a beautiful voice!!! mashallah
Lamyate Nazeer-o-Kaafi NazarinLam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin,
Misle To Na Shud Paida Jaana.
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So,
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana.
Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam,
Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam,
Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim,
Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana.
Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha,
Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba,
Manjdhaar Mein Houn Ya Rasulallah,
Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa,
Mori Nayya Paar Laga Jaana.
Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka,
Yak Shola Digar Barzan Ishqa,
Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya,
Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana.
Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut,
Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno,
Pat Apni Bhi Pat Mein Kaaisay Kahoun,
Mera Koun Hai Teray Siva Jaana.
Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza,
Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera,
Irshaade Ahibba Na’Atik Tha,
Nachaar Is Raah Para Jaana.
Ala-Hazrat Syedna Pir Meher Ali Shah (R.A) of Golra Sharif’s Sher:
Subhan Allah Ma ajmala ka,
Ma Ahsaana Ka, Ma Akmala ka,
Kithay Mehr-e-Ali Kithay Teri Sana,
Gustaakh Akhiyan Kithay Ja Ariyan.
Ya Shamso Nazrate Ila Layli,
Chun Ba Tai’Bah Rasi Arze Ba Kuni,
Tori Jyot Ki Jhal, Jhal Jag Mein Rachi,
Meri Shab Ne Na Din Hona Jaana.
Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal,
Khat Haaley Maah Zulf Abre Ajal,
Tore Chandan Chandra Par Kundal,
Rehmat Ki Bharan Barsa Jaana.
Ya Kaafelati Zidi Ajalak,
Rahme Bar Hasrate Tishna Labak,
Mora Jiyera Larje Dharak, Dharak,
Tai’Bah Se Abhi Na Suna Jaana
Beshaqk qari Rizwan saheb ki naat e paak or yeh alvida bahot pyari hai or hamesha rahegi that is why?SDI