Ya RasoolAllah Karam

By: 

Ya Rasul Allah Karam Lyrics

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Qaram

Isyaan main duba sar basar, aamal naik hain sifar
Sadkey mein Ghoue e Pak kay, ker do karam ki eik nazar.

Ya Rasoulallah Karam, Ya Habeeballah Karam
Ya RasulAllah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tum ho Rasuloon kay Rasool dur houn rang o malool
Sadqay main Ghouse Pak kay, kerlo ghulamoon main qabool.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Allah kay ho tum habib, dono jahan kay ho tabib
Sadqey mein Ghous e Paak kay, ho rooh ko shifa naseeb.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Shaqeer e Razvi kay hazoor, houn maaf sab kay sub kasoor
Sadqey mein Ghous e Paak kay, dar’ein ka milay saroor.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Na kaheen say dur hain manzilein, na koi kareeb ki baat hai
Jisay chahein usko nawaz dein, yeah dar e habib ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya
Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin
Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Woh machal kay rah mein reh gayein, yeh tarap kay dar say lipat gayein
Woh kisi ameer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tujhay aie Munawar e bay nawa, dar e shah say chahiye aur kiya?
Joh naseeb ho kabhi samana, toh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Naat Information:

Album: Oh Allah The Almighty
Recited By: Qari Mohammed Rizwan


More Islamic Lyrics

  1. The Sound of Tears
  2. Du’a
  3. Upon Him Be Peace
  4. Why?
  5. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  6. One Big Family
  7. Rang Day Moula
  8. Theraawo Sawaari
  9. A Time to Please Allah
  10. Smile
  11. Raastein Saaf Batatay Hain
  12. Ask Him
  13. Dua e Ali (AS)
  14. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa
  15. Anything For You
  16. Masha Allah
  17. Change My Dead Heart
  18. Ramazan (Turkish – Türkçe Version)
  19. Ashqi Mn – عه‌شقی من
  20. Asma ul Husna
  21. The Bright Moon
  22. Ew’idooni
  23. One God
  24. Muhammad (pbuh)
  25. Don’t Talk To Me About Muhammad

24 thoughts on “Ya RasoolAllah Karam”

  1. Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
    Ya Rasoolallah Karam

    Isyaan Main Duba Sar Basar, Aamal Naik Hain Sifar
    Sadkey Mein Ghoue E Pak Kay, Ker Do Karam Ki Eik Nazar.

    Tum Ho Rasuloon Kay Rasool Dur Houn Rang O Malool
    Sadqay Main Ghouse Pak Kay, Kerlo Ghulamoon Main Qabool.

    Allah Kay Ho Tum Habib, Dono Jahan Kay Ho Tabib
    Sadqey Mein Ghous E Paak Kay, Ho Rooh Ko Shifa Naseeb.

    Na Kaheen Say Dur Hain Manzilein, Na Koi Kareeb Ki Baat Hai
    Jisay Chahein Usko Nawaz Dein, Yeah Dar E Habib Ki Baat Hai.

    Jisay Chaha Dar Pay Bula Liya, Jise Chaha Apna Bana Liya
    Ye Baray Karam Kay Hain Feslay, Yeh Baray Naseeb Ki Baat Hai.

    Ba Khuda Nahin, Woh Khuda Nahin, Woh Magar Khuda Say Juda Nahin
    Woh Hain Kiya, Magar Woh Hain Kiya Nahin, Yeh Muhib Habib Key Baat Hai.

    Woh Machal Kay Rah Mein Reh Gayein, Yeh Tarap Kay Dar Say Lipat Gayein
    Woh Kisi Ameer Ki Shaan Thi, Yeh Kisi Ghareeb Ki Baat Hai.

    Tujhay Aie Munawar E Bay Nawa, Dar E Shah Say Chahiye Aur Kiya?
    Joh Naseeb Ho Kabhi Samana, Toh Baray Naseeb Ki Baat Hai.

    (Ummat Kay Pyare Aay) Shaqeer E Razvi Kay Hazoor, Houn Maaf Sab Kay Sub Kasoor
    Sadqey Mein Ghous E Paak Kay, Dar’ein Ka Milay Saroor.

    Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
    Ya Rasoolallah Karam

    Reply
  2. very nice naatttttttttttt
    soooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo niiiiiiiiiiiicccccccccccccccccccccceeeeeeeeeeeeeeeeee

    Reply
  3. CONCEPT OF NIDAA YA RASOOLALLAH (CALLING OH MESSENGER OF ALLAH)
    There is some confusion regarding this phrase. Exactly what does it mean and is it permissible to say ‘Ya’. Those who oppose do so for the following reason; 

    ‘Ya’ means ‘O’ and you are attracting someone’s attention who can hear and answer your call. Therefore if I was to say ‘Ya Mehboob’ whist there was a possibility that you could hear me then that is no problem. Allah’s mercy and power is everywhere, hence, when a person in distress calls ‘Ya Allah’ there is no doubt that Allah can hear you. So when a person says ‘YA Muhammad’ or ‘Ya Rasoolallah’ the argument is that, He is in Madinah, not here, hence you are equating his sense of hearing as the same as Allah, therefore this is equating the Prophet with Allah and this is Shirk. 

    Reply
    • Assalamwalaikum wa rahmutullahi wa barkatoh
      BISSMILLAH HIR NIRRAHIM
      “Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyeato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rahmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo”
      YOU CRUEL MINDED PLEASE THINK BEFORE WHAT YOU SPEAK YOU CANT FINISH YOUR SALAAT untill and unless you wont sent salam to NABI sallahu wa ahlehi wa salam so this verse is from ALLAH will you falsify this if you then please go away you are mushrik…
      MAY ALLAH GUIDE US TO STRAIGHT PATH AS HE IS KNOWING OF ALL UNIVERSE AND HEREAFTER …
      AAMEEN

      Reply
  4. Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin
    Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.

    Faisal khan in namaz we say assalwalayka yaeyuhan nabi

    Rasoolallah is every where….not only in madina
     

    Reply
  5. Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya
    Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai

    Reply
  6. Taiba Kay Jaane Walay Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker
    Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai.

    Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
    Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
    Taiba Ke Jane Wale
    Taiba Kay Jaane Walay

    Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara
    Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
    Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai
    Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai

    Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
    Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye
    Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
    Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

    Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2
    Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

    Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai
    Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,
    Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,
    Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.

    Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
    Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
    Teiba Ke Jane Vale
    Taiba Kay Jaane Walay

    Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein
    Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
    Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
    Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
    Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
    Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

    Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay
    Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.

    Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
    Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
    Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
    Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
    Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say
    Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say

    Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
    Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say.
    Taiba Ke Janay Wale
    Taiba Ke Janay Wale

    Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
    Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena
    Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
    Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
    Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
    Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

    Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay
    Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.

    Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun
    Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
    Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon
    Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber
    Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say
    Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say

    Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
    Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
    Taiba Ke Janay Wale
    Taiba Ke Janay Wale

    Reply
  7. Chorus: Ya rabbana irhamlana (x4)

    Tere ghar ke peyrey lagaah taa rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Haram mein mai haadhir huwa bankey mujrim (x2)
    Yeh labbaik iqrara laga ta rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Mein leyta rahu ko sahe sangey hazrat (x2)
    Key dil dee siyaayi mittata rahu (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Illahi mein phirta rahu ghirde kaaba (x2)
    Kyu kismat ki ghardish mitaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Lipat kar ghale lagge mehmood ke sajan se (x2)
    Ghunna ke labbe mitaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Mein peeta rahu har ghari aabe zam zam (x2)
    Lagi apne dil ki bhujaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Hatime haram me namaazon ko par kar (x2)
    Tere dar ke tukrein suna taa rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Saffa aur marwa ke maa behne dohru (x2)
    Sa’ee karke tujhkon manaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Tu shar se panaa de muqqaddar kare hai (x2)
    Ye bas khair hi khair paata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Rami kar ke jamraat ki mein Mina mai (x2)
    Tere dushmano ko beechata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Muzdalifa mein pohonchke seher muskare kein (x2)
    Yeh sunnat nabi ki bataata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Jhuki jin sajde mi’rabe kaaba (x2)
    Wahi dil adab se jhukata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Baras thi hai mara ke rehmat haram mein (x2)
    Tu meeza phi zar se lagaa rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Sanad had se maqroorl ki karne hadhir (x2)
    Muhammad ki chaukat pey jaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Ho maqbool hajj hadhri jayen mee mein (x2)
    Bas eh hajj madine ko jaata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre Makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Illahi ko kismet ke sorrow heera ki (x2)
    Ye kis dil mein aaqa ko paata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre Makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Illahi to aisa muqaddar banaade (x2)
    Hume shaah hi Makkey mein aata rahu mein (x2)
    Sadaa shehre Makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Hai sayed ke khwaish madine mein mar kar (x2)
    Humeshaahi jannat ko paata rahu mein (x2)
    Tere ghar ke peyrey lagaah taa rahu mein (x2)
    Sadaa shehre makkah me aata rahu mein

    Chorus

    Reply
  8. Ya shahe behrobar ho karam ke nazar(x2)
    Sabh ki bigiri banana tera kaam a hai(x2)
    (Repeat)

    Thokarai khaa ke girna mera kaam hai(x2)
    Har kadam pur uthana tera kaam hai(x2)
    Line2(x2)

    Verse 1:
    Terai kadmo Mei anaa mera kaam a tha (x2)
    Meri kismet jagana tera kaam hai(x3)
    Meri ankho ko hai deed ki arazoo (x2)
    Rukh sai parda uthana tera kaam hai.(x2)
    Sabh ki bigiri banana tera kaam hai

    Verse 2:
    Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen x2
    Terai faizo karam ki to had hi nahin x2
    Jin ko duniya mai na koi apna kahen x2
    Unko apna banana tera kaam hai
    Verse 3:
    Baara bat ta hai sultanai kaunain ka(x2)
    Sadka Moula Ali sadka Husnain ka (x3)
    Sadka khwaja piya ghause thaklayn-ka (x2)
    Hazari hogaye ye be inaam-e-hai.(x2)
    Line2(x2)

    Verse 4:
    Merai dil mai teri yaad ka raaj hai (x2)
    Zehn terai tassawur ka mohtaaj hai.(x2)
    Repeat
    Ek nigaahai karam hi meri laaj hai.(x2)
    Laaj meri nibhaana tera kaam hai.(x2)
    Line 2(x2)

    Verse 5:
    Tosha-e-akhirat hai sanakhan ka.(x2)
    Zikr karta rahai terai faizan ka.(x3)
    Teri naaatein sunnana mera kaam hai.(x2)
    Sun kai Taiba bulana tera kaam hai.(x2)
    Line 2(x2)

    Verse 6:
    Saakiya jaan qurban terai jam pur.(x2)
    Ho nigaahei karam apnai khudaam pur.(x3)
    Chhor di hum nai kashti terai naam pur.(x2)
    Abh kinarai lagaana tera kaam hai.(x2)
    Line1(x2)

    Verse 7:
    Faiz jaari tera ta qayamat rahai.(x2)
    Teri Nabiyon pai qayam imaamat rahai.(x3)
    Teri Mehboob chokat salamat rahai.(x2)
    Ganj rehmat lootana tera kaam hai.(x2)
    Line2(x2)

    Verse 8:
    Pesh har aarzoo har tamanna karo.(x2)
    Thaamlo Jaaliyan iltijaayai karo.(x3)
    Maangnai valo daaman kushada karo.(x2)
    Pyarai Akaa ka faizo karam aam hai.(x2)
    Line2(X2)

    Reply

Leave a Comment