Aap Kiya Jane Fatima Kiya Hai

By: 

Aap Kya Janey Fatima Kia Hai Lyrics

Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura

Surah e Qadr ka yeh nara hai
Aap kiya jane Fatima kiya hai.

Jis ko mukhtar e amar kehtay hain
Jis ki ratoon ko qadar kehtay hain
Subho ko jiski fajr kehtay hain
Shaam ko jis ki asr kehtay hain
Har zamanay pay jiska kabza hai
Aap kiya jaane Fatima kiya hai.

Qadr jisko sada kaza nay kaha
Sayada jis ko Murtaza nay kaha
Apni maa jis ko Mustafa nay kaha
Kanzay maghfi jisay Khuda nay kaha
Jis ki chokhat pay Kaaba jhukta hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.

Jiskay dar say ho har aata ko aata
Inama ki amaan ka hai gosha
Kul kafa jiska khud gawah bana
Fateha kar rahi hai jiski sana
Pura Quran hee qasida hai
Aap kiya janain Fatima kiya hai.

Jiski chadar ko aasman kehiye
Apnay bachoon ka sahiban kehiye
Isko alhumd ka nishaan kahiye
Hashr ki dhoop main amaan kahiye
Kulay emaan ka jo musala hai
Aap kiya janay Fatima kiya hai.

Jiska baba Rasul (aashiq e Rab)
Jiskay baitay Hassan Hussain lakab
Yeh jahan main hai sab say acha nasab
Jiska shohar Ali ameer e Arab
Surah e Noor jiska shajrah hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.

Yeh gharana sakhi mila humko
Isi ghar say Nabi mila humko
Har wasih, har wali mila ham ko
Eik wali kiya, Ali mila hum ko
Isi ghar say Khuda bhi paya hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.

Jiska aik baita hai Imam e Hassan
Aik baita Hussain Shah e Zaman
Aik Abbas mislay kila shikan
Jisnay seekha Ali say jang e kafan
Jiska darya pay aab bhi kabza hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.

Ghazi bola mizaj kehr main hai
Mera hum pala koun shehr main hai
Piyas ka sad e bab nehr main hai
Nehr yeh Syeda kay mehr main hai
Mehr yeh khud Khuda nay rakha hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.

Dar pay jo sar jhuka nahin sakta
Deen e majid woh pa nahin sakta
Har koi dar ko paa nahin sakta
Aira ghaira tou aa nahin sakta
Malakul Maut aa kay rukta hai

Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura

Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura


More Islamic Lyrics

  1. The Remedy
  2. Let You Know
  3. Eid Song
  4. Ab Meri Nigahoon Main
  5. You Came To Me (Turkish)
  6. Karam Mangta Hoon
  7. Marhaba Bolo Marhaba
  8. Sari Gelin
  9. Jalwa e Jaana
  10. Isn’t It So Funny
  11. Celebrate
  12. Yeh Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai
  13. Ya Ali Ya Hussain
  14. Tanam Farsooda Jaan Para
  15. Anything For You
  16. I’m In Love
  17. Khat Bhi Likha Tha
  18. The Most Beautiful Names
  19. Why?
  20. Kalma Sharif
  21. Qissat Al’Oshaq
  22. Do Bar Namaz Shaheed Hui
  23. Saaeein Mawla
  24. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar
  25. Celebrations

19 thoughts on “Aap Kiya Jane Fatima Kiya Hai”

  1. PLEASE PLEASE  put up the lyrics to “Dua Fatima ki – hum ahle aza hain”
    I can’t find them anywhere on the net :((

    Reply
  2. Jis ko mukhtar e amar kehtay hain
    Jis ki ratoon ko qadar kehtay hain
    Subho ko jiski fajr kehtay hain
    Shaam ko jis ki asr kehtay hain
    Har zamanay pay jiska kabza hai
    Aap kiya jaane Fatima kiya hai.
    Great Wording Majid bhai jeo

    Reply

Leave a Comment