Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani

By: 

Aey Mere baba Jan Lyrics

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,
Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai?
Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi…

Aey mere baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chupaoon kahan?

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan
Aie meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kahan?

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri ada.
Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

Ay mere baba jaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,
Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

Aiy mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,
Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai
Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

Aie mere baba jan, ho rahi hai azaan, sir chhupaun kahan?

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,
Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,
Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

Aie meray baba jan, ho rahi hai azaan, sir chupaoon kahan?

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.
Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas
Abbas, Abbas, Abbas, Abbas…

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,
Noke neza say aanay laga khaak par,
Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kaha?

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,
Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,
Misle Zahra khari houn main aghiyar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

Aie meray babajaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Aisa khutba diya mainay darbar mein,
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

Ay maray baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Nowha Khawan: Shahid Baltistani
Album Released: 2006
D.O.P: Wajid Ali
Editer: S. D. Soomro
Director: Ali Arman
Label: Thar Production


More Islamic Lyrics

  1. Karam Karte Ho Rehte Ho Lyrics - Naat Lyrics
  2. Kaun Hai Sarwar E Deen Lyrics - Milad Raza Qadri
  3. Beloved Lyrics - Mesut Kurtis
  4. Saaeein Mawla Lyrics - Fez Meghani
  5. Selam Sana (Turkish-Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  6. Neredesin (Turkish Version) Lyrics - Maher Zain
  7. 25 Prophets Lyrics - Zain Bhikha
  8. Bookshelf Lyrics - Gaith Adhami
  9. A Way Of Life Lyrics - Zain Bhikha
  10. Aaqa Ka Milad Aaya [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  12. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  13. A New Day Lyrics - Labbayk
  14. Zameen Meli Nahi Hoti Lyrics - Farhan Ali Qadri
  15. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye Lyrics - Farhan Ali Qadri
  16. Ya Rab Bimarey Kerbobala Lyrics - Dhamani Sisters
  17. Ya Taiba Lyrics - Various Artists
  18. Balaghal Ula Bekamaalaihi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  19. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  20. Dukh Duniya De Kera Lende Paa Lyrics - Qari Shahid Mahmood
  21. Wo Jo Haal e Khasta They Hausley Lyrics - Naat Lyrics
  22. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  23. Make a Prayer Lyrics - Sami Yusuf
  24. Un Ki Mehak Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. One Day Lyrics - Maher Zain

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x