Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani

By: 

Aey Mere baba Jan Lyrics

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,
Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai?
Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi…

Aey mere baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chupaoon kahan?

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan
Aie meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kahan?

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri ada.
Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

Ay mere baba jaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,
Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

Aiy mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,
Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai
Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

Aie mere baba jan, ho rahi hai azaan, sir chhupaun kahan?

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,
Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,
Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

Aie meray baba jan, ho rahi hai azaan, sir chupaoon kahan?

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.
Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas
Abbas, Abbas, Abbas, Abbas…

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,
Noke neza say aanay laga khaak par,
Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kaha?

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,
Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,
Misle Zahra khari houn main aghiyar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

Aie meray babajaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Aisa khutba diya mainay darbar mein,
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

Ay maray baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Nowha Khawan: Shahid Baltistani
Album Released: 2006
D.O.P: Wajid Ali
Editer: S. D. Soomro
Director: Ali Arman
Label: Thar Production


More Islamic Lyrics

  1. Shafa’a – ????? Lyrics - Jabar Abdollah
  2. Insan Lyrics - Hamza Namira
  3. Ya Ali Ya Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar
  4. Jannat Mein Lay Kay Jayay Gi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  5. Land of Revelation Lyrics - Zain Bhikha
  6. Allahu Lyrics - Sami Yusuf
  7. No Word Is Worthy Lyrics - Sami Yusuf
  8. Allah Tera Shukar Hai Lyrics - Abdul Hameed Rana Soharwardi
  9. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  10. Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics - Dhamani Sisters
  11. Ya Hanah Lyrics - Hamza Namira
  12. Call On Him Lyrics - Raef
  13. Day of Eid Lyrics - Labbayk
  14. Is It True Lyrics - Abdullah Rolle
  15. Tell Me Lyrics - Aashiq al-Rasul
  16. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  17. Eid-un Sa’Eid Lyrics - Zain Bhikha
  18. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu Lyrics - Naat Lyrics
  19. This Man Lyrics - Tom Robertson
  20. Dam Hama Dam Ali Ali Lyrics - Milad Raza Qadri
  21. Close To You Lyrics - Maher Zain
  22. Khat Bhi Likha Tha Lyrics - Mesum Abbas
  23. Rooh e Shabbir Woh Manzar To Bata Lyrics - Milad Raza Qadri
  24. Although I Never Saw His Face Lyrics - Zain Bhikha
  25. Hear Your Call Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x