Mere Ghazi Kahaan Ho Lyrics
meray gazi kahan ho x2
(Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho) x2
1. ay mere bawafa, hai bahan berida, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
2. Tujhko dekhe bina, chayn ata nahi
Noke neza pe sar tera milta nahi
Me ziyarat karun, kistarha ye bataa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
3. Laaj rakhlo bahan ki baradar mere
Khaak maqtal mere sar ka parda bane,
Hukm dedo zara, muntazir hai hawa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
4. Tere bazu mujhe raste me mile,
Mene chadar samaj kar wo sar par rakhe
Bazuwo se tera, puchhti hu pata, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
5. Dekh kar behn ko dasht me nange sar,
Kya haya agayi, chhup gaye ho kidhar,
Khud chali awungi, tum bataado zara, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
6. Mene bachpan me lori sunayi tujhe,
Menay chalna sikhaya tha bhayi tujhay
Raah pur khaar par, mujhko chalna sikha, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
7. Wo teri laadli wo sakina teri
Chalte naaqe se jab khaak par ghir gayi
Dekhti rehgayi, wo suwe alqama, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
8. Jo bane murtaza me wo ehsas hun,
Berida bibiyon ki me Abbas hun
Tum meri aas the, ay mere bawafa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
9. Waris-e-ambhiya ki me hamsheer hun,
ehle haider hun quran ki tafseer hun,
koi Yawar nahi, kisko du me sadaa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho.
Urdu Nauha Information:
Nuha Reciter: Shahid Baltistani
Album: Shahid Baltistani 2007 Volume
mashallah jazakallah zainab ke laal run ki fizaon pe cha gaye ik dum me dushmano ke khadam ladkhada gaye ghabra ke shumer se umer-e-saad ne kaha HYDER ke saath JAFFER-E-TAYYAR aagaye moula har woh matamdaar ko salamath rakhe jo hussain ke naam par matam our aansoo bahata hoo aameen our har woh nauha khan ko jo aapne nauhe aur aawaz se aankho me aansoo lata hoo AAMEEN
very nice n now noha mashAllah jiyo shahid bhai maula bless u
mashalah bari pur soaz or dard bhari awaaz ne nohay me haqeqat ka rang bhar dia……very nice!
I luv this noha so much this is the best noha ever
mashallah
would anyone know where i can find lyrics to "ghabraigi zainab……" ???
maasha allah bhai aapko maula salamat rakhe bahot bainiya nauha hai aur aapka padhne ka aandaaz to maashaallah aako bibi sakina aur maula abbas salamat rakhe
mashaala really good i got and award for reciting this noah and i got first place thanks shahid uncle
mashallah dis nauha is really touching…
Jazakallah,Allah aapko salamat rake shahid Baha’i aur aapko yeh dard nauha shazadiye kaunain qabul Karen illahi amen
Can anyone give me an English translation of this nawha?
Allah Pak ham sab ko zakir imam Hussain a.s ma shamil farma. ameen.
JazakAllah khair