Alwida Alwida Mahe Ramzan

By: 

Alwada Alvida Mahe Ramzan Lyrics

Alvida Alvida Mahe Ramzan
Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Din teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray janay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alvida hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida hai.

Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida hai.

Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida hai.

Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida hai.

Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida hai.

Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida hai.

Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.

Na’at Lyrics Information:
Naat Khawan: Syed Fasihuddin Soharwardi


More Islamic Lyrics

  1. Day of Eid
  2. Deen-il-Islam
  3. Hazir Hain Hazri Mein
  4. Mera Iman Ali Hai Ali
  5. Haq Allah
  6. Home
  7. Aicha
  8. Heal the World
  9. Falak Kay Nazaaro
  10. Ramadhan
  11. I’m Alive
  12. I Think of You
  13. Aye Khuda
  14. You’re There
  15. What You’ve Become (Feat. Sami Yusuf)
  16. Ew’idooni
  17. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan
  18. The Remedy
  19. Hye Hum Yateem Ho Gaye
  20. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola
  21. Zara Chehre Se
  22. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  23. Salatullah
  24. Hear Your Call
  25. The Passing Traveller

59 thoughts on “Alwida Alwida Mahe Ramzan”

  1. MASHALLAH

    but some mistakes in writting thi plz correction kr lu
    Dil teray aanay say motbar thay (is wrong)
    din tere aanay say motbar thayand
    Teray anay say dil ro raha hai (is wrong)
    tere janay say dil ro raha hai

    Reply

Leave a Comment