Khusravi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi

By: 

Hum Faqiroon Ko Madine Ki Galli Achi Lagi Lyrics

Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.

Door thay to zindagi bay rang thi be-kaif thi,
Unkay kuchey main ga’ey to, zindagi achi lagi.

Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….

Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagi.

Naaz kar tu aey Halima Sarwar-e-Kownain par,
Gar lagi achi to teri jhownparhi achi lagi.

Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay sultanoon nay sar,
Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi ach-chii lagi.

Mahr-o-mah ki roshani mana kay achi hai magar,
Sabz gunbad ki mujhey to, roshani achi lagi.

Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii

Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi,
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi

Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagi…

Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.

Naat Information:

Naat Reciter: Syed Fasihuddin Soharwardi


More Islamic Lyrics

  1. Aicha
  2. Salatullah
  3. Shab E Tareh
  4. Masha Allah (Arabic Version)
  5. Awaken
  6. ‘Asheqan
  7. Paradise
  8. Sallou
  9. Ummati
  10. Bazm-e-Konain Sajanain Kayliyay Aap Aeye
  11. Balaghal Ula Bekamaalaihi
  12. No One Knows But Me
  13. Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay
  14. LabbaykAllah
  15. Zameen o Zaman Tumhare Liye
  16. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  17. My Mum is Amazing
  18. Allahu Allah
  19. Eid Song
  20. Paradise
  21. Ya RasoolAllah Karam
  22. Al-Mu’allim
  23. 99 Names of Allah
  24. Ramadan Is Here
  25. After Hardship Comes Ease

35 thoughts on “Khusravi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi”

  1. salam.
    I love ur web specially ur naats web i preciate ur lovely naats and other some almost and kind full respect naats ‘i forwad a humble request so kindly run and work more for this web.
    i send salam from all cfc team.

    Reply
  2. mai aap ka bohat bada shukr guzaar rahunga agar aap mujh ko maa ki shaan ki lyrics pesh kiye jao to…!

    jazak allah…!

    dua ka taalib…!

    -syed junaid quadri

    Reply
    • Thanks
      i want meaning of nathe path in urdu as well as english to understand
      pls send the nath from manzar bhopali kaon jalwanuma mustafa

      Reply
  3. ”””””””mujhe yeh naat bohat pasand hai or mere school me competition he or mein yeh natt padho ga”””””””””’
     

    Reply
  4. SUBHAN ALLAH, MASHALLAH…..

    Duniya ke ay musafir manzil teri qabar hai.

    Fiker e akhirat. ata famaye allah hum sab ko. Amin

    Reply
  5. sukriya sukriya
    🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
    muje ye. naat padni thi lekin lyric ke bagair yaaad nahi rehta isliye apka sukriya

    Reply

Leave a Comment