Main To Panjtan Ka Ghulam Hoon Lyrics
Main to panjtan ka ghulam hoon, mein to panjtan ka ghulam hoon
Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon, mein ghulaam ibn e ghulam hoon
Main to panjtan ka ghulam hoon
Mujhe ishq hai to Khuda se hai
Mujhay ishq hai to Rasool say
Yeh karam hai sara batool ka
Mere moon (mouth) say aye mehak sada
Jo mein naam loon tera jhoom kay
Mein to panjtan ka gulaam hoon (2)
Kiya baat e raza us chamanistanay karam ki
Zahra hai kali jis mein Hussain ore Hassan phool
Mein to panjtan ka ghulam hoon
Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon
Mujhe ishq sarv o samal se hai
Mujhe ishq saray chaman say hai
Mujhe ishq unkay watan say hai
Mujhay ishq unki galii (street) say hai
Mujhe ishq hai to Ali se hai
Mujhe ishq hai to Hassan se hai
Mujhe ishq hai to Hussain say
Mujhay ishq shah e Zaman say hai
Mein to panjtan ka ghulam hoon
Mujh pay kitna niyazi karam ho gaya
Dunya kehnay lagi Punjtan ka gadha
Iss gharanay ka jabse mein nokar hua
Sab say achi meri nokari ho gayi
Mein to panjtan ka ghulam hoon
Hua kaisay tan(body) say woh sar juda
Jahan ishq ho wahin Karbala
Meri baat unhii ki baat hai
Meray saamne wohi zaat hai
Wohi jinko Sher E Khuda kahein
Jinhein Bab e Salle alaa kahein
Wohi jinko Aale Nabi kahein
Wohi jinko Zaat e Ali kahein
Wohi pukhtha hain mein to khaam hoon
Mein to panjtan ka ghulam hoon
Mera shair kiya mera zikr kiya
Meri baath kiya meri fikr kiya
Meri baath unke sabab se hai
Mera sher unke adab se hai
Mera zikr unke tufeil se
Meri fikr unke thufel se
Kahan muj men itni sakhat bala
Keho man kabath ka bhi hak ada
Mein to panjtan ka gulaam hun (2)
Naat Information:
Naat Khawan: Syed Fasihuddin Soharwardi
MASHALLAH Ye Naat Bohat achi hai i like it ALLAH pak PADHNE WALE or sun ne walo pe apni rehmat ata farmaaye,AMEEN,or ALLAH Pak aap sab aap sab par apni rehmat farmayee,
Mujhay is Naat sy itna pyar hay k jis ki koi had nahi
wounder of world his voice and the words r like i can feel heavn on earth.
mary riquas ye ha ke me ap ke show me naat paro.
mjhe ye naat bohat pasand hai ku k is main Mohammad (S.A.W.W) aur khas tor par un ki aal ka zikr kia gaya hai aur is k ashaar subhanallah !
"MOLA SALAMAT RAKHE PANJETAN KA DAMAN THAMNE WALO KO"
THIS IS THE WONDER FULL NAAT AND ALSO FASIH UD DIN SAHIB HAS A MAGIC IS HIS VOICE, HE IS THE GREAT NAAT KHOWAN I EVER FOUND IN THE WORLD.
MASHALLAH BEAUTIFULL NAAT
I LOVE U PANJTA PAK ALI MOLA
aishq kia hai is main kamal byen hai. aishq ki had is say bi kayi ziyda hai per kiya karen alfaz mehdood hain.
kia bat ha g is ki
bohat dhondney k bad is naat k lyrics miley hein allah is k likhney parhney or sunney walon par apni rehmat naazil farmaye.
bohat khoobsurat naat hey insaan is me kho sa jata hey
kitna khobsurat kalam he aur kitna khubsurat parnay wala he khuda aur ziada izat day
Mashallah…jawab nahin.. naat ka bhi or pardhne wale ka bhi…..Allah(swt) panjetan pak k sadqe inhen lambi umr or sehat ata kare….ameen summameen…
ao a,truemendous sort of manqabat.may allah bless the writer and naat khawan with eternal love of his prophet and ahle bait and with his reference may allah bless us with love of our prophet and his faily b/c this is the only way to true salvation.
ye sach men bohat achi naat wonder,beautiful
yah, its really beautiful, bcoz of AHLE BAIT.
I m also Gulam of PANJATAN!
this is not naat bahi or bahna/we shell call mankbat.naat just that poetry witch one for only for.HAZRAT MUHAMMDA SALL ALLAH ALEHE WASALAM.
Maula salamat rakein ya ali madad kehnai wali ko!
subhan ALLAH
YA ALLAH hum tamam musalmano ko panjatan ka ghulam bana de aur hum sab per apna khas rahem-o-karam farma
subhanAllah…
ALLAH pak hum subko panjtan e pak k sadqay ek kamil musalman banade or
hamari dunia o akhrat sanwar de.. (aameen)
bohat khubsurat kalam hai……….mola salamat rakhe likhne wale ko,parhne wale ko or man'ne wale ko………..geo shah….
i just love dis mankabat
this naat is tooo beautiful………