Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshan Gaya

By: 

Naimatein Baant Ta Jis Simt Woh Zeeshan Gaya Lyrics

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya,
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Naimatin Banta Jis Samat

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya

Dil hai woh dil jo teri yaad say ma’moor raha
Sar hai woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya

Jaan o dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche
Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya.

Nasheed Information:

Naat Reciter: Syed Fasihuddin Soharwardi


More Islamic Lyrics

  1. Ehlam Ma’aya
  2. Let It Go
  3. Insha Allah
  4. Subha Taiba Mein Hui
  5. Medina
  6. Hijab
  7. Al Qudsu Tunadeena
  8. That Moment He Smiled
  9. All It Takes
  10. Smile
  11. C’mon Everybody
  12. My People
  13. Ali Da Malang Mein Tey Ali Da
  14. Amma Nee Amma
  15. Allahi Allah Kiya Karo
  16. Teri Mehfil Mein Chala Aya Hun
  17. Rooh e Shabbir Woh Manzar To Bata
  18. Wa Hassan Sabz E Qaba
  19. Call On Him
  20. Maşaallah (Turkish-Türkçe)
  21. Mazagh Nigahon Nein
  22. Eik Boondh Bhi
  23. By My Side
  24. Iman Ramzan
  25. Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai

37 thoughts on “Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshan Gaya”

  1. Jaan o dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche
    Tum nahi chalte Raza sara to samaan gayayeh do misra hum garibon ka sabar ka paimana hain, jo tangi ki wajah se madina sharif nahi ja sakte, to kiya huwa, tum nahi chalte (matlab mitti ka jism nahi gaya) sara saman gaya (matlab rooh to gaya nind me)…….allahu akbar

    Reply
  2. fasihuddin soharwardy bhai nay bht great naat parhi hay un ka andaaz puray duniya may munfarid hay
    FASIHUDDIN SOHARWARDY JAISA NAAT KHOWAN PORAY WORLD MAY NI HAY

    Reply
  3. This naat has touched my heart with deeply & in this this naat my ALA HAZRAT has explained of my AAQA’S Meraj night .

    Reply

Leave a Comment