Wah Kiya Joodo Karam

By: 

Wah Kya Judo Karam Lyrics

Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shah-Aey Batha Teyra
Nahin Sunta Hee Nahin Maang-Nay Waala Teyra

Mein Tou Malik Hee Kahoonga Kay Ho Malik Kay Habeeb
Ya’anee Mehboob-o-Muhib Mein Nahin Meyra Teyra

Wah Kia Jood-o-Karam…

Tery Sarkaar Mein Laata Hai Raza Uss Ko Shafe’e
Joe Meyra Ghaus Hai Aur Laadla Beyta Teyra

Wah Kiya Jood-o-Karam…

Teray Qadmon Mein Joe Hai Ghayr Ka Moon Kia Dekhayn
Kon Nazron Pe Charr-Hay Dekh Kay Talwa Teyra

Wah Kia Jud-o-Karam…

Teray Tukron Pey Palay Ghayr Ki Thokar Pey Na Daal
Jhirkiyan Khaayein Kahan Chor Kay Sadqa Teyra

Wah Kiya Jud-o-Karam…

Aik Mein Kia Meray Isi’ayan Kee Haqeeqat Kitnee
Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Teyra

Wah Kya Jud-o-Karam…

Farsh Waalay Tery Shaukat Ka U’lu Kya Dekhein
Khusrawa Arsh Pay Urrta Hai Phareyra Teyra

Naat Information

Recited By: Syed Ikram Akbar Bukhari
Written By: Maulana, Shah, Ahmed Raza Khan Barelvi (RA)


More Islamic Lyrics

  1. Without You
  2. Zindagi Ka Bharosa Nahin
  3. Qadam Qadam Pe Khuda Ki Madad
  4. Dua Ganjul Arsh
  5. Muhammad (PBUH)
  6. Insha Allah (Turkish Version – İnşallah)
  7. Tan Sadkay Mera Man Sadkay
  8. I am Near
  9. Haji Menuju Allah
  10. He is One
  11. Tala Al Badru Alayna
  12. Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai
  13. The Mountain
  14. Asma Allah
  15. Ya Nabi Salam Alayka
  16. Ya Aba Abdillahil Husayn
  17. Allahi Allah Kiya Karo
  18. Masha Allah (Arabic Version)
  19. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 1-3]
  20. Ya Rahman – یا رب یا رحمان
  21. Syed Nay Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
  22. Karam Mangta Hoon
  23. He is the One
  24. I Turn To You
  25. Ab Meri Nigahoon Main

24 thoughts on “Wah Kiya Joodo Karam”

  1. Hi,
    this is very nice to see syed ikram akbar bukhari on your website… i must appreciate you and you whole team for doing this…
    thanx
    zeeshan.

    Reply
  2. Wah wah wah subhanallah
    Maslake aala hazrath
    Zindabaad
    Ma sha allah
    Kya naat e shareef hay
    “Meri aawaaz thodi baareek hay
    Jab bhi may naat beqaaboo hoke partha hoon
    Toa aawaaz ek dam zor hojaathi”
    Ye bhi aysi pyaari naatoan me ek hay
    Jo muje sach much beqaaboo kardete hain.
    Subhanallah
    Alhamdulillah
    Jazakumullah

    Reply
  3. Ya Khuda Charkh e Islam par ta abad Mera Taaj e Shariyat salamat rahe,
    Maslak e Ala Hazrat Salamat rahe.
    Aye Bareli mera Baab e Jannat hai tu
    Yaani jalwa Gah e Ala Hazrat hai tu
    Bil yakeen Markaz e Ahle Sunnat hai tu
    Yeh teri markaziyat salamat rahe
    Maslak e Ala Hazrat Salamat rahe.
    Indeed.

    Reply

Leave a Comment