Tujhay Dhoondta Tha Mein Chaar Soo

By: 

Tujhay Dhoondta Tha Mein Chaar Soo Lyrics

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
TUJHE DHUNDH TA THA MAYN CHAR SU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TU MILA QARIBEY RAGEY GULU
TERI ZAAT AMMA NAWALUHU…………….. TUJHAY DHOONDTA THA MEIN CHAAR SOO….

1. TERI YAAD MEIN HAI KALI, KALI
2. HAI CHAMAN, CHAMAN MEIN HUWAL AALI
3. TU BASA HAI PHOOL MEIN HOO BAHOO
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

4. TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI
5. TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
6. TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU


7. TERA JALWA DONON JAHAN MEIN HAI
8. TERA NOOR KOUNO MAKAA’N MEIN HAI
9. YAHAN TU HI TU WAHAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

10. TERI JUSTAJU MEIN HAI FAKHTA
11. KE KAHAN TU JALWA DIKHAEGA
12. USEY VIRD KUKU HAI KU BAKU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

13. GIREY QATREY ABR SE KHAK PAR
14. TO YEH BOLA SABZ UTHA KE SAR
15. DIYA GHAIB SE MUJHE AABEY JU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

16. TERA RUNG LALO GOHAR MEIN HAI
17. TERA NOOR SHAMSO QAMAR MEIN HAI
18. TERI ZAAT AMMA NAWALUHU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

19. TERE HUKM SE JO HAWA CHALI
20. TO CHITAK KE BOLI KALI KALI
21. HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU

22. HAI DUA E AKBARE NATAWAN
23. NA THAMEY QALAM NA RUKE ZUBAN
24. MAYN LIKHUN PARH-HUN YEHI BA WUZU
TERI SHAAN…REPEAT “TUJHE DHUNDH TA….”

MEANINGS:
MAIN LINE: RAGEY GULU = JUGULAR VEIN OF NECK
LINE 10: JUSTAJU = SEARCH
LINE 10: FAKHTA = DOVE
LINE 12: KU BAKU = KOOCHA, GALI
LINE 13: ABR SE = FROM CLOUDS; KHAK = ZAMIN
LINE 14: SABZ = GREENERY
LINE 15: AABEY = WATER; JU = FOUNTAIN
LINE 16: LALO = RUBY; GOHAR = MOTI, HEEREY
LINE 22: NATAWAN = WEAK / KAMZOR
LINE 23 DHAMEY QALAM= NA RUKNE WALI QALAM


More Islamic Lyrics

  1. Ya Nabi Salam Alayka
  2. Your Mercy
  3. Ya Rabbi Ya Rahman
  4. Likh Raha Hoon Naat E Sarwar
  5. Lagiyan Ne Mojan
  6. The Sound of Tears
  7. Ya RasoolAllah Karam
  8. Subha Taiba Mein Hui
  9. Rabbana
  10. The Mountain
  11. Love Will Prevail
  12. Salaam
  13. Wo Charag e Deen e Muhammadi
  14. The Centre
  15. Afreen Afreen
  16. Mabrook
  17. Bazm-e-Konain Sajanain Kayliyay Aap Aeye
  18. Terengganu
  19. Imdad Kun
  20. Valley of Musk
  21. Aaya Na Hoga Iss Tarha
  22. Faslon Ko Khudara Mita Do
  23. Take My Hand
  24. Bewaa Ka Sahara
  25. Aaj Duniya Main Khair-ul-Wara Agaey

5 thoughts on “Tujhay Dhoondta Tha Mein Chaar Soo”

    • Khawja Akbar Warisi (Rahimahullah). This is a small part of his Meelad Shareef which he has written, which is composed of many short Qaseedas as well as short bayans, all of which are in Urdu. His Meelad Shareef is famously know as Milad e Akbar.

      Reply

Leave a Comment