Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti

By: 

Kya Khabar Kya Saza Lyrics

Kya khabar kiya saza mujh ko milti
Meray Aqa(S.A.W) nay izzat bachali.

Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni(S.A.W) chupali.

Woh (S.A.W) aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale.

Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Data hain waisay sawali.

Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan (S.A.W) Hain.

Yeh Ghulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali.

Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gai hai.

Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali.

Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai.

Unke (S.A.W) qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jali.

Mein faqat naam lewa houn Unka (S.A.W)
Unki(S.A.W) tauseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal (Allama Sir Muhammad Iqbal), Qusro (Amir Khusro) na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali.

Kya Khaber kya saza mujhko milti
Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.

Lyrics Information:

Recited By: Qari Waheed Zafar Qasmi
Other: Lyrics are in Roman Urdu.
Lyrics are provided by Tehmina (site visitor)


More Islamic Lyrics

  1. Hamziyya
  2. The Power
  3. Al-Hamdu Li’Llah
  4. Aao Parhein Qur’an
  5. Who Is The Love One
  6. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan
  7. Awaken
  8. Welcome to Madinah
  9. Pak Sar Zameen Shad Bad
  10. Thula Sizwe
  11. Always Be There (French)
  12. Khair Karam Wala
  13. Ala Bi Dhikrika
  14. Sizomkhonz’ uAllah
  15. Khat Bhi Likha Tha
  16. Guantanamo Bay
  17. My Mum is Amazing
  18. Dunya Ke Ay Musafir
  19. Maşaallah (Turkish-Türkçe)
  20. Freedom
  21. Tajdar e Haram
  22. An Nabi Sallu Alai [Part 1-2]
  23. Mother (Arabic)
  24. Allah The Almighty
  25. Heart of Homs

26 thoughts on “Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti”

  1. Assalam-O-alaikum Sir kesay aap sir may aap ka bohat bara fan ho mashallah say aap k awaz may allah pak nay esa asar rakha jo bi sunta hay bus madinay walay ka dewana ho jata hay khas toor per Aap ki wo naat (Main chup khara ho) amazing meri ankhoo main to ansoo agaye allah pak aap jesa naseeb har musalman ka banye ameen or kuch ziyada nai likho ga bus dua main yad rakhye ga Thank you

    Reply
  2. Assalam-O-alaikum main ap ki naat bohat shok k sath sunta hoon mujhay ap ki ye wali naat bohat achi lagti hay or ap ki awaz or mostly ap ka parnain ka style abhi main SAUDIA ARAB a gya hoon or ap ki naat website say sunta hoon please meray lia dwa kege a ga allah ap ko or taraqi day or esi tarha naatain parnain ki tofeeq day amen

    Reply
  3. Comments k leye Alfaz nai hain sir.bass itna pata hy ,Ghulami-e-Rasool mai Mout bhi qabool hai,Jo nai ho isshq-e-Mustafa to zindagi fazool hy…

    Reply

Leave a Comment