Unki Kiya Baat Hai

By: 

Unki Kiya Baat Hai Lyrics

Koi khilqat mein Unsay (S.A.W) nahin hai bada
Woh (S.A.W) Habeeb-e-Khuda Unki (S.A.W) kiya baat hai.
Hum Gunahgar hain hum siyah kar hain
Woh (S.A.W) Shafi-ul-wara Unki (S.A.W) kya bat hai.

Aur kisko urooj itna hasil huwa
Sara Quran hi Un (S.A.W) pay nazil huwa.

Zeenat-e-Arsh Hain Azmat-e-Farsh hain
Woh Makeen-e-Hira Unki (S.A.W) hiya baat Hai.

Sab say afzal do aalam main zaat Unki (S.A.W) hai
Wohi Mahboob-e-Rab kainat Unki (S.A.W) hai
Rabb-e-Akbar nay jo kuch bhi Hum ko diya
Unkay (S.A.W) Sadqay Mila, Unki (S.A.W) Kya Baat Hai.

Jo Bhi Un (S.A.W) say mila usko Rab (S.W.T) milgaya
Bay adab zindagi ko adab milgaya.
Rab se Woh (S.A.W) ashna Un (S.A.W) Say Rab (S.W.T) aashna
Woh (S.A.W) Daleel-e-Khuda Unki (S.A.W) kiya baat hai.

Unki (S.A.W) khatir do aalam banaye gaye
Unkey (S.A.W) anwaar se phir sajaye gaye.
Unkay (S.A.W) rutbe ko jitney badaye gaye
Akal se mawara Unki (S.A.W) kya baat hay.

Zindagi ka safar ho na jaye tamam
Un (S.A.W) pey Aijaz bhejo Durood o Salam.
Woh (S.A.W) karam hi karam Woh (S.A.W) ataa hi aata
Woh (S.A.W) dua hee dua Unki (S.A.W) kya baat hai.

Lyrics Information:

Recited By: Qari Waheed Zafar Qasmi
Other: Lyrics are in Roman Urdu.


More Islamic Lyrics

 1. Haji Menuju Allah
 2. Al-Mu’allim
 3. Chamka Mah e Noor Ka Hilal
 4. Worry Ends
 5. Lament
 6. Broken
 7. Peace Remain
 8. Love Will Prevail
 9. Heal the World
 10. Al-Amin
 11. Let It Go
 12. Aseer Ahsan
 13. Make a Prayer
 14. Jalwa e Jaana
 15. Praise & Glory
 16. Dunya Ke Ay Musafir
 17. Baraka Allahu Lakuma
 18. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa
 19. We At War Baby
 20. Allah Almighty
 21. Our Earth
 22. Jeena Hain Mushkil
 23. Darpesh Ho Taiba Ka Safar
 24. Aye Shaam Terey Bazaaron Se
 25. First We Need the Love

10 thoughts on “Unki Kiya Baat Hai”

Leave a Comment