Zahe Muqaddar

By: 

Zahe Muqaddar Lyrics

 

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya
Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya.

Yeh kon sar say kafan lapatay, chala hai ulfat kay rastay par
Farishtay hairat say tak rahe hain yeh kon zy ehteram aaya.

Faza main labbaik ki sadain, zah farishta aarsh goonjti hain
Har aik qurban ho raha hai, zaban pay yeh kis ka naam aaya.

Yeh rah e haq hai! sambhal kay chalna! yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par, to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.

Yeh kehna aaqa bohat say aashiq taraptay say chor aaya houn main
Bulaway kay muntazir hain lekin, na subho aaya na shaam aaya.

Dua jo nikli thi dil say aakhir, palat kay maqbool ho kay aayi
Woh jazba jis main tarap thi sachi, woh jazba aakhir ko kaam aaya.

Khuda tera hafiz o nigehban, Oh rah e bat’ha kay janay wale
Nabi de sad inbisat ban kar, payam darood o salaam aaya.

Zahay muqadar huzur e haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.

Lyrics Information:
Recited By: Qari Waheed Zafar Qasmi


More Islamic Lyrics

  1. Without You Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC)
  2. Take My Hand
  3. Ze Eshqat
  4. Ellahi
  5. Al-Hamdu Li’Llah
  6. Dar-e-Nabi Par Para Rahoon Ga
  7. The Path of a Traveller
  8. Without You
  9. Noor Wala Aaya Hai
  10. The Mountain
  11. Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi
  12. Karam Kay Aashiyanay Ki
  13. The Source
  14. Eik Boondh Bhi
  15. Ala Bab Allah
  16. Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka
  17. Turn to Allah
  18. Thank You Allah
  19. Asmaa Al-Husna
  20. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  21. Change My Dead Heart
  22. Mera Dil Badal De
  23. Sir Bulandi Ki Riwayat Sir Katany Say Chali
  24. Aj Sik Mitran Di Wadheriye
  25. Pukara Dilsay Kisi Ney

90 thoughts on “Zahe Muqaddar”

  1. mashallah.
    Its real touching but rarely the Muslims now listen them so deeply,mashallah all the naats are so nice and their lyrics too,and i also used to read them in our competition,may God bless all of us and bring us on the true path and forgive our all sins and mistakes..Ramzan mubarak to all the sisters and brothers

    Reply
  2. tarap taza ho jati AQA k pass jany ki or dil se arzo hoti AQA k kadmon main jany ki…. ALLAH hm sb ki kismat main ye aizaz likhy or AQA ka bolaqa nasib ho…. AMEEN.. and no doubt beautiful voice….

    Reply
  3. MASHA ALLAH.. SUBHAN ALLAH…
    BOHAT PIYARI NAAT HAI OR APNY USY ITNY HE PYAARY TAREQAY SE PARHI HAI…
    AP SUB SY ACHY NAAT KHUAYAN HAIN OR HUM SUB K PASAND DIDAH..
    ALLAH PAK AP KO KHUSH RAKHY, AP KO OR BI NAAT PARHNY KA MOQA DY.. (AMEEN).

    Reply
  4. Pakistan’s best ( naat) recited by Pakistan’s no. 1 Naat khwan & Pakistan’s no.1 Qari and (Naat ,Humd Voice) Mr Waheed Zafar Qazmi. ( No doubt). Subhan Allah.

    Reply
  5. SUBHAN ALLAH MUJAHY AESA MEHSOOS HOTA HAI K ALLAH K NABI KI BARGAH MAI YEW NAAT MAQBOOL HO GAI HAI ALLA H RABUL-E- IZZAT IS NAAT K PARHNY K TOFAIL HAMARY GUNNAH MAAF FARMAI AMEEN .

    Reply
  6. MashaAllah……

    Very Beautiful Nast
    Allah hum San ko Roza e Rasool salallahoalaihewasalam ki Ziyarat naseeb farmaye ……AMEEN

    Reply

Leave a Comment