Aaya Na Hoga Iss Tarha

By: 

Aaya Na Hoga Iss Tarha Lyrics

Aaya na hoga iss tarha, husn o shabab reet per
Gulshanay Fatima kay thay, saray gulaab reat per.

Janay Batool kay siwa, koi nahin khila saka
Qatra e aab kay bagheir, itnay ghulaab reet per.

Jitnay sawal ishq nay, aal e Rasool say kiye
Eik kay baad aik diye, sarey jawab reit per.

Pyaasa Hussain ko kahoon, itna to bay adab nahin
Lam say labe Hussain ko, tarsa hai aab reet par.

Ishq main kiya bachaiye, ishq mein kiya lutaiye
Ale Nabi nay likh diya. sara nissab reat par.

Ale Nabi ka kaam tha, ale Nabi hi ker gaye
Koi na likh saka adeeb aisi kitaab reit par.

Gulshan e Fatima kay they, saray gulab reat par.

Manaqbaat Information:
Naat Recitor: Zulfiqar Ali
Album: Dar e Nabi Pe
Editor: Abdul Razaque Solangi
Director: Kashif Mughal
Producer: Syed Sabihuddin Rehmani
Television Media: Qtv Channel Pakistan


More Islamic Lyrics

  1. Look Into My Eyes
  2. Theraawo Sawaari
  3. Although I Never Saw His Face
  4. Ammu Jannam
  5. Ramadan Is Here
  6. Aaj Duniya Main Khair-ul-Wara Agaey
  7. Muhammad (P.B.U.H)
  8. A’marona A’malona
  9. Bekhud Kiye Dete Hain
  10. A Piece of Land
  11. Alhubbu Yasood – الحب يسود
  12. Qasim Di Mehndi Agae
  13. Pohnchoon Dar e Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai
  14. Tazkarti
  15. Terengganu
  16. Make Me Strong
  17. Guantanamo Bay
  18. Lament
  19. Jashn e Millad
  20. Falling
  21. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan
  22. Open Your Eyes
  23. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  24. Haser Hesarak
  25. Peace Be Upon You

52 thoughts on “Aaya Na Hoga Iss Tarha”

  1. assalam o alaykum,

    massah-allah,your naat "dare nabi" is so cute, plz send me a downloadable male of ur naat "dare nabi" (if possible )

    Reply
  2. subhan allah bahut bahter awaz aur utni hi khubsorat kalam khuda app ko issi tarah nawazta rahe aur app parhtee rahe aur aqaye do jahan ke sadqe me hame sunne ki saadat hasil ho ti rahe khuda hafiz

    Reply
  3. Beautiful manqabat dar madah e Ahl e Bait (a.s.) in a very sweet voice.It explains the meanings of a couplet of Allama Iqbal : Naqsh e Ila llah bar sehra nawisht : satr e unwan e nijat e ma nawisht . Iss ka matlab hey Khak e Karbala per khoon e Hussain (a.s.) se likha hua naqsh e Ila llah Iqbal ke nazdeek us ki aur umat e muslima ki bakhshish ka wahid zaria hey. Subhan Allh.

    Reply
  4. asaal ale kum zulifiqaar bhai jaan, ye manqabat mai ne pechlay saal ko suna tha, bohat dil ko choonay wala hai, iss ko mai 1 saal se doond raha tha, aaj mai ne net pe is ko search kiay aur is ko likha bhi aur aap ki awaaz mai suna bhai, maula ali a,s aap ko aur bhi meeethi aur achi awaaz se nawzey ameen,, zeeshaan abbas dar ,srinagar kashmiar

    Reply

Leave a Comment